Wednesday, October 27, 2010

Manzil abhi door hai....

Manzil ki talaash mein chalte to hain...
Sapno ki udaan bharte to hain...
Aarzoo bhi bahut hain magar....
Koi aas bandhati to nahin...

Bas aankhoon mein zara namee si hai...
Dil mein kuch kamee si hai...
Sapno ki dastak ki aahat to hai...
Mann mein ek aas dabee si hai...

Lamha der lamha simat ta sa hai..
Ye waqt behisaab guzarta sa hai...
Chale aye hain badi door se yahaan...
Par ab har kadam thithakta sa hai...

No comments:

Post a Comment